maiN sawar loN gha hayat bhi maiN guzaar looN gha ye rat bhi
meray haal pe mujhay chor kar tera dil tujhay jo kahay wo kar
dil chaak chaak na sil saka jisay chahtey they na mil saka
jo huwa wo theek sahi magar wo jo ik dua gayee be-asar
jo tumam umer bhuja sakay na isay hawa tu ajeeb kia
wo chiraag sa meray naam ka jalay teray dil maiN jo be-khabar
wo jo rah-e-shoq ki dhool hai lagay yuuN wohi koi phool hai
ye zara se dair ki bhool hai jo hamiN rula’ey ghi umer bhar
jisay paa k khud ko ganwa deeya k jahaN sara bhula deeya
kis toor bhi nahi bhoolti wohi ajnabi se koi nazar***