dil bujh gaya to kia hay ke dunya to hay abhi
kuch or ho na ho ye tamasha to hay abhi
Khud hi bhatak rahy hen bayaban e khwab men
bahar nikalna chahen to rasta to hay abhi
mumkin nahin jo hont bhigona to kia hua
khush hen ke apni raah men darya to hay abhi
jesy ragon men khak si urti ho door tak
dil men be aik soorat e sehra to hay abhi
pani hadon say bahar uchalny ko hay mager
kuch us ky rasty men kinara to hay abhi
us say kabhi hamari mulaqat ho na ho
ham us ko dekh lety hen itna to hay abhi
aisa bhi reh na paay to phir kia karengy ham
waisa ager nahin hay wo aisa to hay abhi
ik phool is zameen pe baqi to hay yahan
apny falak pe koi sitara to hay abhi
marta hon men ke wo kahin khud hi na ho zafar
us baam par charagh sa jalta to hay abhi
