Dil Baraye Faroakht

Qeeemat? Eik meetha bol

Hello everyone! :slight_smile:

Re: Dil Baraye Faroakht

Hiii

Re: Dil Baraye Faroakht

neelaamii pe chaRhaa dete to achchhaa silaa mil jaataa :slight_smile: welcome!

Re: Dil Baraye Faroakht

hum logon pe unn ki ehsiyaat se zeada boaj daalna pasand nahi karte :wink:

Re: Dil Baraye Faroakht

janaab-e-man, neelaamii meN boli lagaanewaalaa/waali kabhii apnii Haisiyat se ziyaada boli nahiiN lagaa saktaa/saktii! :stuck_out_tongue:

Re: Dil Baraye Faroakht

haha boli baad ki baat hai, pehley eik meetha bol :wink:

aj kal ke zamane main meetha bol kafi mushkil kaam hai boli se

Re: Dil Baraye Faroakht

bajaa farmaayaa…aap ne to ek meeThe bol kii farmaa’ish kii hai magar moHaavaratan to log “do meeThe bol” kii chaah karte haiN. :slight_smile:

aapkii ID pasand aayii…ek gaanaa bhii thaa, lagtaa hai usii se mutaassir ho kar yeh ism-e-iste’maali [username] apnaayaa ho: :slight_smile:

oye oye…
tirchii Topii waale, o baabu bhole bhaale
tu yaad aane lagaa hai, dil meraa jaane lagaa hai