Dil bandagi kay bojh say sajday main hi rahay

Humm nay socha tha keh eik phool gulab ka ho
Chudveen ka chand our saat uss shabaab ka ho

Taa’ray roshan hon un ankon main ullfat kay
hajoom e ishq main uss raat safar khwab ka ho

Dil bandagi kay bojh say sajday main hi rahay
Tawaf e shooq ka markaz bhi uss saraab ka ho


shairi ki baat alag … humra nahi khayal ke kal hum “eik phool Gulab ka” uss ko day pain gay

:frowning: yeh jeena bhi koi jeena hay :frowning:

buhat khoob :k:

Bohat khoob....

haan ya jeena koyee jeena nahi.... magar phir behi jee rahay hain....

Nice gazal :k:

yeh ghazal nahi babassi ka izhaar hay
un ki aankhain na itni bolti hotein our na humain itni mushkil paish aati

beautiful, :k::k:

samjah main nahi aata k kaisey tareef karoon.. :flower1:

:k:

Re: Dil bandagi kay bojh say sajday main hi rahay

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Humm nay socha tha keh eik phool gulab ka ho
Chudveen ka chand our saat uss shabaab ka ho

Taa'ray roshan hon un ankon main ullfat kay
hajoom e ishq main uss raat safar khwab ka ho

Dil bandagi kay bojh say sajday main hi rahay
Tawaf e shooq ka markaz bhi uss saraab ka ho


shairi ki baat alag ... humra nahi khayal ke kal hum "eik phool Gulab ka" uss ko day pain gay

:( yeh jeena bhi koi jeena hay :(
[/QUOTE]

Bhai azad, agar zindagi issi ka naam hai ke phool de dena aur bas, na diya tu zindagi kuch bhi nahe, yeh kis kitab mein likha hai zara humein bhi bataeyey.
chalte chalte ek shair apki nazar kar rahe hon

Ankh samandar, dil sehra, aur chehray pay ho ka aalam
Raaz chupanay ki koshish main tum charcha kar baithay ho

Re: Re: Dil bandagi kay bojh say sajday main hi rahay

[QUOTE]
*Originally posted by Bhooli Bisri: *

Bhai azad, agar zindagi issi ka naam hai ke phool de dena aur bas, na diya tu zindagi kuch bhi nahe, yeh kis kitab mein likha hai zara humein bhi bataeyey.
chalte chalte ek shair apki nazar kar rahe hon

Ankh samandar, dil sehra, aur chehray pay ho ka aalam
Raaz chupanay ki koshish main tum charcha kar baithay ho
[/QUOTE]

humari jaan par bani howi hay aap ko charchay ki fikar hay .... uss ki aankhain bolna band kar day to hum bhi kuch kahain ... warna zindagi yon hi ... haat main Gulab liay guzar jay gii

yaar koi asan sa tareeq batain ...? hum phool bhi dain our jaan bhi salamat rahay

Re: Re: Re: Dil bandagi kay bojh say sajday main hi rahay

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

humari jaan par bani howi hay aap ko charchay ki fikar hay .... uss ki aankhain bolna band kar day to hum bhi kuch kahain ... warna zindagi yon hi ... haat main Gulab liay guzar jay gii

yaar koi asan sa tareeq batain ...? hum phool bhi dain our jaan bhi salamat rahay
[/QUOTE]

mein sirf itna kahongi azad bhai ke...

apne aap ke sath zabardaste mat kejeyay warna toot jayenge

very nice azad ............

Re: Re: Re: Re: Dil bandagi kay bojh say sajday main hi rahay

[QUOTE]
*Originally posted by Bhooli Bisri: *

mein sirf itna kahongi azad bhai ke...

apne aap ke sath zabardaste mat kejeyay warna toot jayenge
[/QUOTE]

Thank you BB

[QUOTE]
*Originally posted by ameen: *
very nice azad ............
[/QUOTE]

Nawazish Ameen jee