Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata
Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata
Dosti key liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost banaya nahi jata
Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata
Koshish se badal jaati hai TaQdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata
LP
2
Re: Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
lovelyyy:lajawab:
Re: Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
very nice :k:
Re: Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Dosti key liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost banaya nahi jata
Tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho Faraz
Dost hota nahi her hath milane wala
waise ye takalluf kia ceez hoti hai.. chai ke sath pastries aur samose khilane ko takalluf kehte hain na?