Dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata

dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata
ye raaz-e-mohhabat har ek ko bataya nahi jata

agar ehsaas ho tou mohabbat ko kar lo mehsoos
ye woh jazba hai jo lufzon mein samjhaya nahi jata

dosti kay liye mohabbat aur khuloos hai lazim
har haath milanay walay ko dost samjha nahi jata

bohat kam hai log jo dil mein uthar jatay hain “Madiha”
har rah chaltay ko apna banaya nahi jata

koshish say badal jati hain taqderein khanam
day kar ilzaam qismat ko dil ko behlaya nahi jata

Re: Dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata

[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata
ye raaz-e-mohhabat har ek ko bataya nahi jata

agar ehsaas ho tou mohabbat ko kar lo mehsoos
ye woh jazba hai jo lufzon mein samjhaya nahi jata

dosti kay liye mohabbat aur khuloos hai lazim
har haath milanay walay ko dost samjha nahi jata

bohat kam hai log jo dil mein uthar jatay hain "Madiha"
har rah chaltay ko apna banaya nahi jata

koshish say badal jati hain taqderein khanam
day kar ilzaam qismat ko dil ko behlaya nahi jata

[/QUOTE]

Bahut khoob...

humm achay hay .. buss aik baat baz dil dhaka start hotay hain ... woh dharraktay nahi un ko dharrkana parrta hay ;)

:k: bohat khoooooob

Bohat Khoob janab :)

great choice:k: