Dil aakhir tu kyun rota hai

**Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya

Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai

Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannaate hain

Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa

Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi namm hai

Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai

Dil aakhir tu kyun rota hai

  • Javed Akhta**r

Re: Dil aakhir tu kyun rota hai

:k:

Re: Dil aakhir tu kyun rota hai

Aansuon ka kissa kya sunae abb kisi ko
Ek yehi tto mohabbat ka Tohfa mila hai mujhko..!!

Re: Dil aakhir tu kyun rota hai

dil aakhir kiyun rota hai? :hmmm: