dhup hai kya aur saaya kya hai ab maluum huaa (Zafar Gorakhpuri)

dhup hai kya aur saaya kya hai ab maluum huaa
ye sab khel tamaashaa kya hai ab maluum huaa

haste phoul ka chehraa dekhu aur bhar aayi aaNkh
apne saath yeh qissaa kya hai ab maluum huaa

hum baraso ke baad bhi unko ab tak bhul na paaye
dil se unkaa rishtaa kya hai ab maluum huaa

sahraa sahraa pyaase bhaTake saarii umar jale
baadal kaa ik TukaDaa kya hai ab maluum huaa

-Zafar Gorakhpuri

Note: For English translation, go to World Poetry in Translation - Mostly Urdu.

Re: dhup hai kya aur saaya kya hai ab maluum huaa (Zafar Gorakhpuri)

Nice sharing Ravi :)

Re: dhup hai kya aur saaya kya hai ab maluum huaa (Zafar Gorakhpuri)

You're welcome.


Years have gone by
but I remember him still.
How am I tied to him,
now I know.

Re: dhup hai kya aur saaya kya hai ab maluum huaa (Zafar Gorakhpuri)

Nice Poetry :k: