DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

Taken from my blog, please add more if you can think of any.

DHOTI kay bohat say fayiday hain, jo kay main aaj aap ko patayoonga.

Faidon mai say ye batain ehem hain:

Dhoti ki zip nahi hoti

Dhoti seena bohat asaan hai, siraf aik chaadar ki zaroorat hoti hai

Dhoti banda do ya teen maheenay pehan sakta hai bager usko dhonay say..thats why dhoti is dhoti beshaq na dhoti (dhoti is dhoti even ifu dont wash)

Dhoti par aap koi bi sponsor add laga saktay hain.

Raat ko razai na milay to dhoti bator razai kay istimaal ho sakti hai.

Rastay mai banda ja raha ho or koi larki bager dupattay kay nazar aye to foran apni dhoti utaar kar ussay day di jaye.

Dhoti pehna bohat asaan hai, bas dono tangain neechay and dhoti upar.

Dhoti AIR CONDITIONIAR ka fayida deti hai, neechay zameen say thandi hawa hamesha upar tak jaati hai.

Banday ko chot lag jaye to dhoti phaar kar usko istimaal kiya ja sakta hai.

Beech par ja rahe hain or toliya nahi? No problem dhoti zindabaad.

DHOTI ka sab say bara faida ye hai kay its “one touch system”, agar aap nay dhoti utaarni hai to all u have to do make 3 high jumps, 4th jump par aap upar hongay or dhoti neeechay zameen par

DHOTI ka aik or fayida ye bi kay agar banda picnic par ho to do darkhto kay darmiaan us ka jhoola bana sakta ha

Dhoti ka aik or faida, if u are out in cinema with ur gal, and watchin horror film…agar thora sa bi dar laggay to dhoti utaar kar apni ankho kay ird gird gol gol baand lain…tay pher thanda mahol tay mithay chol

phut jai gee to aap kae pass 2 ho jaien geee.. aik DHoo aur doosri pehn lo

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

HAhAHahha

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

hahahahaha

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

:smack:

:hehe:

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

Aronold Ji, aik kaam karo tusi apni GS ki party ka uniform bana lo, aik hi color kidhoti, usi dhoti ko aik dandai main laga kai apna jhanda bana lo, lo DHOTI PART tayyar, KAISA !!! genious sai aik aadh foot hi kam hoon main, genious chhai foot ka hota hai na ???

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

Aik nuqsaan dhoti ka yeh hai, kai pak ki police ko daikhtai hi utar jaati hai, qreeb aayen to pat nahn kiya kiya huai ???

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

well I wonder kai jab yeh gana ho satai hai 'Hawa Main Udta Jaaye, mera lal dupatta mal mal ka'

to dhoti kai liai koi gana kiyou nahin bana ????

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

hahaha... khair, pak mein dhoti pehnta kaun hay?! mennu to koi nazar nai aanda!

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

If tarzan had dhoti instead of chuddi, he would have not needed to look for long vines to do hanging, just simply take of his dhoti and hook it anywhere he wants. lagta hai saarai paisai fur ki chuddi lainai main hi kharch kar diai us nai.

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

ek aur faida ye her kisi ko fit aati hai

no tension in length and waist :D

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

Dhoti may dhamaka

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

Dhoti pehan kai chalo to kisi ko bhi dodge daina aasaan hai, to chori kar nai kai baad aap jab police walai sai bhag rahai ho gai, to police wala jab jab samjhai ga kai aap right ko move karo gai, aap right ka ishara dai kai left ko cut lai lo, police walai ko kiya pata andar kiya chal raha hai, woh dodge kha kha kai thhak jaaye ga :D

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

Agar commandos ka uniform dhoti ho jaaye to, unhain sky diving kai liai parachute ki zaroorat nahin padai gi...

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

This reminded me Gandhi kee dhoti

http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=34971

Gandhi kee dhoti main Halchal. :slight_smile:

Re: DHOTI kay Faiday aur Nuksanaat [add more to the list]

lol