|~dhoondta phirta hoon main tujhe dar ba dar tanha~|

dhoondta phirta hoon main tujhe dar ba dar tanha
kehan chala gaya hai tu aiy meray humsafar tanha

basi hain aik aik gooshay mai tery he yadain
dar sa lagta hay ger kabhi jaoon main ghar tanha

main joo roota hoon toa kudhta koi aur bhe hay
kat ta nahin hai sirf mera he jiger tanha

neend roothi hay mujh se toa sota wo bhe nahi hai
taray shahid hain main jagta nahin raat bhar tanha

ker lo samjhoota ab tum issi tanhaii se doost
ab toa tay kerna hay saara he tumhain safer tanha

kaise keroon main apni tanhai ka maatam NADIM
dekhta hoon toa nazer aataa hay sara shahar tanha

Nice :k:

wah. Ghazal ji, hamesha ki tarha, khubsoorat tehreer! :k:

:k:

Bohot khoob sis:)

Boht khoob...

nice :k:

wah bOhat umda :k:

buhut he achcha ghazal G

kaise keroon main apni tanhai ka maatam NADIM
dekhta hoon toa nazer aataa hay sara shahar tanha

:k:

:k:

thankew everyone ..