**Dil ishq meiN bepaayaaN, sauda ho to aisa ho
Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho
Ham se nahiN rishta bhi, ham se nahiN milta bhi
Hai paas wo baiTha bhi, dhoaka ho to aisa ho
Wo bhi raha baygaana, ham ne bhi na pehchaana
HaaN ai dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho**