hur shama bujhi rafta rafta, hur khwaab lutta dheeray dheeray
sheesha na sahee, paththar bhi na thaa, dil toot giya dheeray dheeray
dil kaisay jalaa, kis waqt jalaa, hum ko bhi pataa aakhir mein chalaa
phailaa hai dhoouaan chupke chupke, sulgee hai chita dheeray dheeray
barsoun mein maraasim bantay hein, lamhoun mein bhalaa kiya tootein gey
tu mujh se bicharrna chaahay tau deewaar uthaa dheeray dheeray
wo haath paraaye ho bhi gaye, ab duur ka rishta hai Qaiser
aati hai teri tanhaai mein khushboo e hina dheeray dheeray