Re: Dheerai Dheerai
Barson mein marasim bantay hain, lamhon mein bhala kya tootaingay,
Tu mujh say bicharna chahey to, deewaar utha dheeray dheeray !
Dil kaisay jala kis waqt jala, humko bhi pata aakhir mein chala,
Phaila hain dhuan chupkay chupkay, sulgi hai chita dheeray dheeray !
Woh haath paray ho bhi gayey, ab door ka rishta hai `Kaisar',
Aati hai meri tanhayee mein, khushboo-e-hina dheeray dheeray
wowwwww g kamal ki poetry g