_MuNiYa
1
Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil toot gaya dheeray dheeray !
Barson mein marasim bantay hain, lamhon mein bhala kya tootaingay,
Tu mujh say bicharna chahey to, deewaar utha dheeray dheeray !
Ehsaas hua barbaadi ka, jab saaray ghar mein dhool udi,
Aayee hai hamaray aangan mein, pat jhar ki hawa dheeray dheeray !
Dil kaisay jala kis waqt jala, humko bhi pata aakhir mein chala,
Phaila hain dhuan chupkay chupkay, sulgi hai chita dheeray dheeray !
Woh haath paray ho bhi gayey, ab door ka rishta hai `Kaisar’,
Aati hai meri tanhayee mein, khushboo-e-hina dheeray dheeray !
Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil toot gaya dheeray dheeray !
3 Likes
Re: Dheerai Dheerai
Barson mein marasim bantay hain, lamhon mein bhala kya tootaingay,
Tu mujh say bicharna chahey to, deewaar utha dheeray dheeray !
**Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil toot gaya dheeray dheeray !
**
awesome sharing :k:
muncho
7
Re: Dheerai Dheerai
Barson mein marasim bantay hain, lamhon mein bhala kya tootaingay,
Tu mujh say bicharna chahey to, deewaar utha dheeray dheeray !
Dil kaisay jala kis waqt jala, humko bhi pata aakhir mein chala,
Phaila hain dhuan chupkay chupkay, sulgi hai chita dheeray dheeray !
Woh haath paray ho bhi gayey, ab door ka rishta hai `Kaisar',
Aati hai meri tanhayee mein, khushboo-e-hina dheeray dheeray
wowwwww g kamal ki poetry g
muddii
8
Re: Dheerai Dheerai
Buhat Khubsourat Alfaaz:) Thanks for shairing Muniya:)

Buhat aaala