enter10
1
**Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
Ho kar khara zameen pe khud, kanp raha hey
Aghoosh main lipta hey naye, saal ka manzar
Hoonton pe tabasum hey jigar, kanp raha hey
Han waqt-e-sehar khaab yeh, dekha main ney
Ik zinda basher apna kafan ,—–naap raha hey
Her aankh zamaney ki nazar, — ho gayee logo
Palkoon ka shamiyana kisey,- dhanp raha hey
Khanjar bakaf hey mera,—– masiha maery andar
Kiyon zakham zakham jism mera, kanp raha hey
Umeed ki kirney kaheen,– maadoom hoeen hain
Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq, — hanp raha hey
Ley tu chala hoon “BURQ” tujhey, janib-e-maghrib
Saaya merey wajood ko kiyoon,—- dhanp raha hey**
tarash
2
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
yeh kis class ka** fill in the blanks** wala paper hai
enter10
3
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
Boti Maafiya ki…
Blanks to hyn Magar Fill Kuch nhi krna…
tarash
4
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
phir woh blank kyon hain
enter10
5
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
phir woh blank kyon hain
Ye Boti Maafiya ka Member hi bata sakta hy...........Khali Q hyn
Shayad Unka Uper Level Khali hota hy isi liya...........:p
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
kaanp, dhaanp, saanp... anaap, shanaap
enter10
7
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey

Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
shayar ki dekha dekhi qafiya hi milaya hai :sid:
enter10
9
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
Nice…
Agar Aapko Yaad ho…Kuch Arsa Qabal
Amrica BahaDur ki shaan mein Kuch Likhnay ka erada zahir kiya tha…?
Kia howa…?
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
kab? aap ne tab yaad dilaya jab yaad hi na raha
enter10
11
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
…i think
6 mahiny sy bhi pehlay ki Qissa hy…
ajazali
12
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
itna lamnba paimana kahan se aaye ga?
Re: Dharti se aasman ko jo,——— naap raha hey
purani kahawaton main itna bada to insan ka qad hota tha 