main janta hon
tumhain myri aarzo nahin hy
talab myri aankh main machal k hi itni arzan hoi hy warna
main upnay daman main zaat ki kirchian samaytay
khanakti muskan bheek lynay
tumhary rustay main rooz upna sawal ankhon main ly k baithon
ye khoo myri to nahin thi janan
main janta hn tum is qadar devta to ho hi
k dil k halat jantay ho
sawal lub py na anay pa’ay
dua ko hurf e qaboliat bhi ata karo tum
tum is qadar bhi khuda nahin ho
main upnay daman ka kul asasa mila k mitti main hath joron
aur upnay honay ki bheek mangon
main is qadar admi nahin hon
so ye talab bhi kasak bany gi
main janta hn…