devta

Sar jukaogay to, pathar devta ho jayega,
Itna mat chaho usay, woh be-wafa ho jayega

Hum bhi dariya hain hamein, apna hunar maaloom hain,
Jis taraf bhi chal padangay, raasta ho jayega

Rooth jana to mohabbat kee, alamat hai magar,
Kya khabar thi mujh say woh, itna khafa ho jayega

Re: devta

Bohat he aala ................ kia baat hai aap ki janab

Re: devta

bohat khoob :-)

Re: devta

gud...!