Desperatly Need Help!

Araay kuptaan bhai. Molvi ho to Sub kuch sahi sahi apni ammi ko bata dain aur un ko kahain kay aap kay walid ko pehli fursat main batain.

Us kay baad aap nain agar kuch ghalat naheen kia aur aap kay saath dhoka kia gia hai to Allah pay poora bharosa rakhain aur bilkul na darain aur sub kuch Allah par chor dain.

Allah zaroor aap ki madad karay ga. Agar aap nain ghalat naheen kia aur sub ki bhalai chahtain hain to Allah pay mukummal aitamaad rakhain. Apni ammi ko sari detail bata kar us ko takeed karain kay pehli fursut main aap kay walid ko batain. Insha Allah kuch naheen ho ga Allah madad karnay wala hai.

Meri duain bhi aap kay saath hain.