Funny Poetry with a Little Punjabi Touch ![]()
jo Pindi waalay hein rastay mein khaL k dekhtay hein (khaL k = kharay ho kar)
Lahorion ka na poocho, dabaL k dekhtay hein (dabaL k = bhot ziada)
Peshawari usay dekhein to raL k dekhtay hein (raL k = ek sath mil kar)
Karachi walay kaee fuut uchhaL k dekhtay hein
bazurg-waar jo dekhein to koi baat nahi
sitam to ye hai k munday bhi kaL k dekhtay hein
tumharay kehnay pay BUSINESS badaL k dekhtay hein
chalo phir aaj pikoray hi taL k dekhtay hein
agar ye such hai k haathon ki mayl hai dolat
to aao mayl-bharay haath mal k dekhtay hein