Dekhta Raha

Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha
Umer Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha
Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay
Magar Mein Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha
Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha
Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha
Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay
Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha
Umer Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha
Mein Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha
Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko “Mohsin”
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha

Re: Dekhta Raha

Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko “Mohsin”
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha

:(

Re: Dekhta Raha

:halo:
Tamasha dekhnay mein tou loag mahir hotay hain …bus kuch free mil jaey :stuck_out_tongue:

Re: Dekhta Raha

Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha

woh shakhs behra ho ga

Re: Dekhta Raha

Mineral water kia muft main pilata

Re: Dekhta Raha

Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha

Ghalti ap ki hai, 2 rupay detay pila deta wo, kai jaghon par 1 rupay ka glass bhi mil jata hai

Re: Dekhta Raha

woh paani pilata,shaid paisay bhi mil jate

Re: Dekhta Raha

Bad Debts ke pesh nazar unhon ne credit sales bund kardi hongi

Re: Dekhta Raha

debt credit k chakar mein shair k hont pathar k ho gye
boht bura hoa

Re: Dekhta Raha

:cb:

Re: Dekhta Raha

:omg:

Re: Dekhta Raha

us nay accounts parha hota tu kahin Clark hota, shair na hota :hmmm:

Re: Dekhta Raha

Accounts paRhne wale clerk nahin clerk ke boss hote hain