**
Kaho Kaisay bhala Tum hogaye Itnay Khafa Hum say
Hui akhir najanay konsi aisi khata hum say
Khuloos Or Aitbaar ka Koi Rishta Hi jab na tha
Tu phir bolo zara kaisay karogey Tum Wafa Hum say
Tumhien Sab ikhtiyaar hai, Jo karna tha Kiya Tum nay
Tu phir kyoon chahaye tumko Naye Koi Raza Hum say
Zaroor Aisa hi hai Koi zaroorat ab nahin Baqi
Ye kehti hai Tumharay Rooth Janay ki Ada Hum say
Jo kar kar kay Kaye waday Mukkar jatay theey pehlay bhi
Woh Karnay agaye ab koi wada Naya Hum Say
Hamari Bey basi kay Ab koi Asbaab na pocho
Unhoon nay Kuch bhi kehnay ka Huq Cheen Liya hum say
Alaag theey Rastaay apnay Alaag theen Manzilien Shayad
Teri Janib Qadam Apnay Najany Kyoon Uthay Hum say
Yoon Un kay Ehaad main Itnay Huay Ghafil Meray Mola!!
Kay Darr Itna hai Bas ab Rooth Na jaye Khuda Hum say
Sahi Moqaay pey atay hain kay jab koi nahin hota
Dekho kay Ye ghum bhi hain kitnay aashna hum say…!**