Badban khulne se pahle ka ishara dekhna !
Main samandar dekhti hun,Tum kinara dekhna !
yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar,
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna…
kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand,
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna !
Aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye…
Jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna !