Dekhna hai woh mujh par meharabaan kitana hai

**Dekhna hai woh mujh par meharabaan kitana hai
asaliyat kahaaN tak hai aur gumaan kitana hai

kya panaah deti hai or yeh zamiin mujh ko
aur abhii meray sar par aasamaan kitanaa hai

kuch Khabar nahin aatii kis ravish par hai tuufaaN
aur kTa phaTaa baaqii baadbaan kitana hai

toor phoor karti hain roz Khowishain dil me
tang in makeeno seY yeH makaan kitanaa hai

harf-e-aarazu sun kar janchnay lagaa
es men baat kitnii hai aur bayaan kitana hai

phir udaas kar de gi sarsari jhalak us ki
bhuul kar yeh dil us ko shadman kitana hai…!**

Re: Dekhna hai woh mujh par meharabaan kitana hai

**phir udaas kar de gi sarsari jhalak us ki
bhuul kar yeh dil us ko shadman kitana hai...!

aankh ojhal pahaR ojhal :)
**

Re: Dekhna hai woh mujh par meharabaan kitana hai

**Dekhna hai woh mujh par meharabaan kitana hai
asaliyat kahaaN tak hai aur gumaan kitana hai

yeh na hi karein to behtar hai
warna nuqsan hi nuqsan hai

**