~Dekhe huwe bhi us ko zamaana guzar gaya~

Ek pal baghair dekhe ussay kya guzar gaya
Aisay laga ke ek zamaanaa guzar gaya
Sub ke leye buland rahe haath umer bhar
Apne leye duwaoon ka lamha guzar gaya
Koi hajoom dehr mein karta raha talaash
Koi raah-e-hayaat se tanha guzar gaya
Milna tu khair us ko naseeboon ki baat hai
Dekhe huwe bhi us ko zamaana guzar gaya
Dil yun kata huwa hai kisi ki judaee mein
Jaise kisi zameen se dareyaa guzar gaya
Is baat ka malaal bahut hai mujhe adeem
Woh mere samne se akela guzar gaya
Hum dekhne ka dhang samajhte rahay adeem
Itne mein zindagi ka tamaasha guzar gaya
Baaqi bas aik naam-e-Khuda reh gaya adeem
Sab kuch baha ke wakt ka dareya guzar gaya…

[Adeem Hashmi]

bahut khoob !
thanks for sharing ab!

**Milna tu khair us ko naseeboon ki baat hai
Dekhe huwe bhi us ko zamaana guzar gaya

Hum dekhne ka dhang samajhte rahay adeem
Itne mein zindagi ka tamaasha guzar gaya**

wah wah ... wonderfull choice Amarbail as usuall

Re: ~Dekhe huwe bhi us ko zamaana guzar gaya~

[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *

Hum dekhne ka dhang samajhte rahay adeem
Itne mein zindagi ka tamaasha guzar gaya

[Adeem Hashmi]
[/QUOTE]

nice :~)