Is raat ki tanhaeyoon ke sab rang badal gaye hain
Chaand nikla hai waise hi andheray badal gaye hain
Jin ke bharosay theen khushiyaan woh baadal thehar gaye hain
Manzilain tu ab bhi wohi hain kuch raastay badal gaye hain
Jin pe kiya thaa bharosa hum ne woh dost bichar gaye hain
Dekhay thay jo kabhi hum ne woh khwaab badal gaye hain
Jo banay thay kabhi hamsafar aaj wohi mukkar gaye hain
Is tootay huwe dil ke saaray jazbaat badal gaye hain
Na badlay kabhi hum na badlay kabhi hamare khayalaat
Bas rona hai yehi kuch log badal gaye hain …