Tujhii ko jo yaan jalwa farma na dekha,
Baraabar haii duniiya ko dekha na dekha.
Mera ghuncha-e-dil hai woh dil-grifta,
Ke jiis ko kaso ne kabhi wa na dekha.
Aziat, musiibat, malaamat, balaae’n,
Tere iishq meiin ham ne kya kya na dekha.
Kiiya mujh ko daghon ne sarv-e-chiraghan,
Kabho tu ne aakar tamaasha na dekha.
Taghaful ne tere yeh kuchh din dikhae,
Idhar tu ne lekin na dekha, na dekha.
Hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hii ham,
Khulii aankh jab, koi parda na dekha.
Shab-o-roz aii Dard darpai hun uske,
Kaso ne jiise yaan samjha na dekha.
Khuwaja Mir DARD !
KKF
October 1, 2009, 7:08pm
3
Re: dekha na dekha !!
bahooot umdaa intiKhaab janaab e waalaa...aapkaa intiKhaab aapke aalaa zauq o shauq e suKhan_fehmii kii Ghammaazii kartii hai. chashm-e-maa raushan, dil-e-maa shaad kar diaya aap ne. har misr'a ik gohar, har she'r ek seep. Khowaja Mir "Dard" aaiina_semaa-e-dard the sar taa ba qadam. shukria
<!--Session data-->
Re: dekha na dekha !!
bohot ala adeel,let me ask 2 hashmat aap itni saqeel urdu kese likh lete hain?
Re: dekha na dekha !!
Aziat, musiibat, malaamat, balaae'n,
Tere iishq meiin ham ne kya kya na dekha.
Bohat khoob
thnx ! Hashmat Usmani sahab !
shazia arif
aryaan
tere naam !!
Shab-e-Hijr
thnx to all of u guys !!! :)
Re: dekha na dekha !!
Ustaad ki ghazal ki kya baat hai shukriya 4 sharing :k:
rajey
October 7, 2009, 1:43pm
10
Aziat, musiibat, malaamat, balaae'n,
Tere iishq meiin ham ne kya kya na dekha.
Nice sharing