dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

log jal jayen ge sooraj ki tamanna na karo
waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se toh tum mujh pe bharosa na karo
kirchiyan toote huye aks ki chubh jayengi
aur kuch roz abhi aaina dekha na karo
ajnabi lagne lage khud tumhein apna wajood
apne din raat ko itna bhi akela na karo
khwaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khwaab dekha na karo khwaab dikhaya na karo
bekhayali mein kabhi ungliyan jal jayengi
raakh guzre huye lamhon ki kuredah na karo

Re: dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

sooraj ki tamanna kiyun ki jae aakhir?

Re: dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

raakh guzre huye lamhon ki kuredah na karo

:k:

Re: dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

bohat ala :k:

Re: dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

khawab na aana zarur koe bemari hogi:hmmm:

Re: dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

LP ne kaha hai k charcha na karo

yehni fikar na kar te zikar na kar

Re: dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

kirchiyan toote huye aks ki chubh jayengi
aur kuch roz abhi aaina dekha na karo
Bohat umdah

Re: dekh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo

Wah wah :k:
kiya baat hai :wink: