Re: Dekh lo aawaaz de kar
dieting kaa daur Khatm kareN, ab khaane kaa mausam aa gayaa…isii par ek she’r apnaa hii pesh kartaa huN jo abhii abhii kahaa hai:
**
khaane-peene par se ab yeh pahraa haTaane ka mausam aa gayaa
qorma, qaliya o biryaanii ke khaane kaa mausam aa gayaa!** ![]()
qaliya = liver
to, ek plate she’r bhejvaa duuN? ![]()