Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahi

**Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahi
Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahi

Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein
Tu ne yeh baat kahin mujhse chupani to nahi

Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera
Yeh ujarna hai koi nakal makani to nahi

Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahi…!**