**Deikho to ye umeedoN ka diya jalta hay kahaaN tak
AaNkhoN meiN ye ik khaab naya palta hay kahaN tak
Na’jaanay kis gumaan k behlaaway meiN uljah kar
Wo saath to chala aaya hay par chalta hay kahaaN tak
Hay naaz bohat zabt pe magar deikhna hay mujh ko
Ye haalaat meiN jalta hay to pighalta hay kahaaN tak
Log taaq meiN baitthay haiN k deikho to is ka kirdaar
MajbooriyoN k saaNchey meiN dhalta hay kahaaN tak
Merey tajas’sus-bharay gumaaN ko ab ye fikr lagi hay
K rangoN meiN waqt apnay tujhay rangta hay kahaaN tak
Imtehaan teri wafaaoN ka abhi aaya hi nahi hay
DaikhaiN gay tu badalta hay to badalta hay kahaaN tak**