jagmagaa uthaa wafoor-e-noor sey iwaan-e-subha
chehchaatey hein darakhtoun par baham murghaan-e-subha
aa rahi hai kaan mein chakki ki gharr ghaar ki sadaa
hai fiza mein muntashir Allah-o-Akbar ki sadaa
nanhey bachchay karwatein laitey huey sou kar uthey
uthey lakin baadal-e-naa khuwasta rou kar uthey
laiy raha hai iss tarhan hukkay key takiya daar kash
har dafaa khankhaarney key baad hein di-chaar kash
phail kar har samt hukkay kaa dhuwan urney lagaa
aasmaan key neechay aik aur aasmaan urney lagaa
chairtey hein neend key maatoun kou aa aa kar faqeer
pait ki khaatir marey jaatey hein gaa gaa kar faqeer
uththey hi khaitoun ki jaanib choudhary lambey huey
haath munh dhoya zara sa, chaach pi, lambey huey
woh jinhein heer kaa qissa kuch zubaani yaad hai
unn ki pur taaseer taanoun sey fiza aabaad hai
khubsoorat ghunghroo har bail ki gardan mein hein
woh jou aaghaaz-e-safar sey haalat-e-shewan mein hein
inn ki tan tan jin sey koi gosh na-mehram nahin
soney waaloun ke liye shor-e-jars sey kam nahin
aaj bhi kal ki tarhan do-chaar kuttey saath hein
pehraa dainey waaley choukidaar kuttey saath hein
aur kuttoun ki tarhan yeh larney key aadi nahin
iss liye koi musaafir inn kaa fariyaadi nahin