deewangee

Chand sitaray qaid hain saaray waqt k bundee khanay main
Laikin main azad hon saqi! Chotay se pemanay mai

Umr hai fani, umr hai baqi, is ki kuch parwah he nahi
Tu ye kahday, waqt lagay ga kitna aanay jaanay mai

Tujh se doori, doori kub thee, paas aur dour to dhoka hain
Farq nahi hai unmol rutun ko kho kar phir paanay mai

Do pul ki thi undhee jawani, nadaani ki, bhar paya
Umr bhala kiyun beetay saari ro ro kar puchtaanay mai

Pahlay tera dewana thaa ub hai upna deewana
Pagalpun hai waisa hee kuch, farq nahi deewanay mai

Khushiyaan aaeen? Acha aaeen? Mujh ko kia, ahsaan nahi
Sudh budh saari bhool gaya hoon dukh k geet sunanay mai

very nice 1:k:

Re: deewangee

nce 1 mnacho lakin capitol main keon likhi :(

small letters main kar di ap ki farmeish pe :)

Re: deewangee

yeh tou bohat bura hua :frowning:

P.S nice sharing :k:

sumthing good in everything i see. so kuch bhee tu bura nahi !

Re: deewangee

buhut khoob aal,a umda....thanks

Re: deewangee

bohat khoob

Re: deewangee

sub ka bahut shukria :)

shukria farmieshi naghmay karnay ka :p
dekha ab kini achi lag rehi :)


fermiyesh ya fehmaiysh?
Nice Choice muncho:)