Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

Her Zulm Tera Yaad Hai Bhoola To Nahi Hoon,
Ae Wada Faramosh Main Tujh Sa To Nahi Hoon

Sahil Pe Khare Ho, Tumhein Kya Gham? Chale Jana,
Main Doob Raha Hoon Abhi, Dooba To Nahi Hoon

Chup Chaap Sahi, Maslehatan Waqt Ke Haathon,
Majboor Sahi, Waqt Se Haara To Nahi Hoon

Muztar Kyon Mujhe Dekhta Rehta Hai Zamana
Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

Re: Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

Copy cat :barbie:

Thory din baad koi ye post kr deta hy yahan :hehe:

Re: Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

wahh ...kamal...

Re: Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

who is the poet?

Re: Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

Aftab Muztar

Re: Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

Good one

Re: Deewana Sahi, Unka Tamasha To Nahi Hoon

I think mustansar husain tarar iz d poet cz ap song k last ma mustansar ata ha