Deevaaro.n se mil kar rona acchha lagata hai

Deevaaro.n se mil kar rona acchha lagata hai
ham bhi paagal ho jaaye.nge aisa lagata hai

duniya bhar kii yaade.n ham se mil ne aati hai.n
shaam Dhale is suune ghar me.n mela lagata hai

kitane dino.n ke pyaase ho.nge yaaro socho to
shabanam ka qatara bhii jin ko dariya lagata hai

kis ko “Qaiser” patthar maruu.N kaun paraaya hai
sheesh mahal me.n ik ik chehara apana lagata hai