::: Deedawar kee Talaash :::

AsSalaam-O-Alaikum:

here is one of my nazms which is in the “zameen” of Iqbal’s shair from his poem “Tuloo-e-Islaam”

Hazaaroon saal Nargis apni bay noori pay roti hay
barri mushkil say hotaa hay chaman main deedawar paida

please, any corrections are highly welcomed because I am not a shaair and consider my self a tifl-e-maktab…

“Deedawar kee Talaash”

Iqbal nay bhee kiyaa khuaab dekha thaa
Kay Muslim main ho Cheetay ka jiger paida

Nazar Uqaab kee, parvaaz Baaz jaisee
Ho na sakaa par chaman main deedawar paida

Najaanay aaey kitnay hee iss kay baad
Nigah-e-kargas liyeh, huvay dil-e-buuz paida

Baat tau kartay hain loug apnay aslaaf kee
Par nahin hotay kahin bhee Ibn-e-Qasim paida

Sunna hay kay har khuaab kee hotii hay taa’beer, Anwaar
Shayad kay ho hee jaaey kaheen Iqbal kaa bhee Shaheen paida

wowwwwwww last shair is superb :k:
keep it up :slight_smile:

*Sunna hay kay har khuaab kee hotii hay taa’beer, Anwaar
Shayad kay ho hee jaaey kaheen Iqbal kaa bhee Shaheen paida
*

marvelous,
eekdam marvelous!!!

love it… :flower1:

Nice 1, keep it up &Thanks for sharing :)

veryy nice :k:
:slight_smile:

Re: ::: Deedawar kee Talaash :::

bhut hi achay:k:

Zabar10 :k:

I just found one mistake in it and updated it:)

bohat khoob:k:

zabardast ..aap tou waqai bohat acha likhtay hain mujh sey bhee acha :)

not bad:)

:k: nice one G.. keep it up

Nice

Dania: you mean tum bahut accha likhtee ho:rolleyes: :smiley:

ShaRaRa: :slight_smile:

NikamiJano & Capricon: thanks:flower1:

&Passionate: yeh “Thenga” kioun dikhaa rahi ho:teary1:??

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
Nice 1, keep it up &Thanks for sharing :)
[/QUOTE]

thanks!

boht achei :k:

Re: ::: Deedawar kee Talaash :::

bohat umda Gadha ji:):k:…barri zabardast
choice hey aap ki aur aap ki apni saheri bhi nehaet
pur’asr aur fikr’angez hey…lekin zara irsaahd
farmaiye ga ke is qadar sanjeeda tabiat aur zaoq ke
ba’wajood is qadar gher’sanjeeda nick (Gadha) ka
kya maqsad hey? Nick rakhney ke baad icon mila ya
icon ke baad nick ka khayaal aaya? I, however, bet
on the former.

[QUOTE]
*Originally posted by Gadha: *

thanks!
[/QUOTE]

You are Welcome:)

Re: Re: ::: Deedawar kee Talaash :::

**
Why did I choose this nick???**