Deedar-e-Ishq abhi Naqaab say agay nahi berha !

Qis’sa abhi Hijaab say agay nahi berha
Main “app” , Woh “Janaab” say agay nahi berha

Mud’dat hoye kitaab-e-Muhabbat shru kiey
Lakin main pehlay baab say agay nahi berha

Lambe Musaafatain hain,Magar is Sawaar Ka,
PaaoN , Abhi rakaab say agay nahi berha

Tool-e-kalaam k ley mainay kiey sawaal
Woh Mukhtasar Jawaab say agay nahi berha

Rukhsaar ka pata nahi ,aankhain to khoob hain ‘Mohsin’
Deedar-e-Ishq abhi Naqaab say agay nahi berha !

Re: Deedar-e-Ishq abhi Naqaab say agay nahi berha !

Qis’sa abhi Hijaab say agay nahi berha
Main “app” , Woh “Janaab” say agay nahi berha

:hinna: nice one

Re: Deedar-e-Ishq abhi Naqaab say agay nahi berha !

Mud'dat hoye kitaab-e-Muhabbat shru kiey
Lakin main pehlay baab say agay nahi berha
...

Tool-e-kalaam k ley mainay kiey sawaal
Woh Mukhtasar Jawaab say agay nahi berha

bohot aala : )

Re: Deedar-e-Ishq abhi Naqaab say agay nahi berha !

Bahut zabardast …:k:


Buhat Acchi Sharing Ki Hay TUM Nay p_G :~)