musaafir k rastay badaltay rahay
muqaddar mein chalna tha chaltay rahay
mere raaston mein ujaala raha
diye us ki aankhon k jaltay rahay
koi phool sa hath kaandhay pay tha
mere pa’on sholon pay jaltay rahay
wo kya tha jisay hum ne thukra dia
magar umr bhar hath maltay rahay
muhabbat, adawat, wafa, berukhi
kiraaey k ghar thay badaltay rahay
Re: Dedication
musaafir k rastay badaltay rahay
muqaddar mein chalna tha chaltay rahay
mere raaston mein ujaala raha
diye us ki aankhon k jaltay rahay
koi phool sa hath kaandhay pay tha
mere pa'on sholon pay jaltay rahay
wo kya tha jisay hum ne thukra dia
magar umr bhar hath maltay rahay
muhabbat, adawat, wafa, berukhi
kiraaey k ghar thay badaltay rahay
its really very beautiful aabla_pa ji!
may i dedicate it to myself since there is no name in ur dedication ;)