Raqs main RAAT hai badan ki tarah
Baarishon ki hawa main ban ki tarah
Chaand bhi meri karwatoon ka gawah
Mere bistar ki har shikan ki tarah
Chaak hai daaman qaba e bahaar
Mere khwaabon k pairhan ki tarah
Zindagi tujh se duur reh kar main
Kaat loongi jila watan ki tarah
Mujh ko tasleem mere chaand k mein
Tere hamraah hoon grehan ki tarah
**Ba’raa tera intazaar kia **
**Apnay khwaabon ki dulhan ki tarah
**
**(Parveen Shaakir) waqai alfaaz nahi mil rahay PARVEEN shakir ki tareef k liye.
**