Assalam-o-Alikum
umm waisay yahan pay pehlay say hi kafi poetry ki threads hain per i wanna open a thread jahan pay ap logh poetry and song kisi ko dedicate karnay kay wastay post karain like ur family friends ,ur love etc
Dont forget To mention Their names Or Their Relation …like dedicated to my family or my love and his/her name Or write his first alphabet agar ap ko Unka naam na batana hoo…
Regards
Gila Kam Goi ka mujh se baja hay
Lekin aye Jane sukhan tu ne kabhi socha
Ke jab bhi teri simt maiN ankh bhar ke
Dekhti hooN tou
Meri Halki Sunehri Jild ke neechay
Achanak…!
Itnay saray nanay munnay se diye
KiuN jalnay lagtay haiN
Aaj phir sawan rut hai
Aaj phir yeh dil
Toofaanoon ki zadd mein hai
Kabhi yeh chaaha thaa ke yeh mausam
Pallat ke na aane payain
Shehr-e-tamanna se kabhi hum
Bhool kar bhi na guzarne payain
Jis ghari suraj ki dhehleez pe
Shafaq ki laali bikhar jaaye
Woh manzar
Yeh aankhain phir na kabhi dekhne payain
Na koi yaad ho na koi yaad paas ho
Milne ki tujh se phir na kabhi koi aas ho
Magar
Yeh bhala kab ho paaya
Gau ek umer tak tau
Khud ko anaa’on ke hisaar mein rakha
Na chahatay huwe bhi jaise
Muhabatton ko apne ikhteyaar mein rakha
Magar aisa kab ho paaya ke
Yeh hisaar kabhi na tootain
Aur chaahaton pe yunhi ekhteyaar rahay
Aaj wohi huwa ke
Is saawan rut ne
Kaee sotay khwaab jaga deyey
Mausam ki is pehli baarish ne
Anaa ke qadam hila deye
Aaj phir yeh chirag-e-dil
Taiz hawao’on ki zad pe hai
Aur teri yaad
In naye purane lamhoon ki sarhad per hai…