DEDiCATED TO ~*~ PAKi RANA ~*~

[TABLE=“width: 98%”]

**Usay Apnay Farda Ki Fikr Thi**

Usay Apnay Farda Ki Fikr Thi
Wo Jo Mera Waqif-E-Hal Tha

Wo Jo Us Ki Subh-E-Arooj Thi
Wohi Mara Waqt-E-Zawal Tha

Mara Dard Kasay Wo Janta
Mari Bat Kasay Wo Manta

Wo To khud Fana K Sfar Pa Tha
Usay Rokna Bi Mahal Tha

Wo Jo Us K Samnay A Gaya
Wohi Roshni May Naha Gaya

Ajab Us Ka Habat-E-Husan Tha
Ajab Us Ka Rang-E-Jamal Tha

Kahan Jao Gay Mja Chor Kar
Ma Ya Poch Poch K Thak Gaya

Wo Jawab Mj Ko Na Day Saka
Wo To Hud Sarapa Sawal Tha

Wo Mila To Sadion K Bad Bi
Maray Lab Pa Koi Gila Na Tha

Usay Meri Chup Nay Rula Dia
Jisay Guftgu May Kamal Tha

Maray Sath Lag K Wo Ro Dia
Mujay Faqat Itna Wo Kah Saka

Jisay Janta Tha Ma Zindagi
Wo Mara Wahm-O-Hayal Tha

Re: DEDiCATED TO ~~ PAKi RANA ~~

yeh paki rana ki dukh bari dastaan hai kya?

Re: DEDiCATED TO ~~ PAKi RANA ~~

sirf uski nahi kuch pardah nasheno k b naam aaty hein :cool: