Dedicated to Lamhay !!!

I dont’ know if you ppl are aware of the news that Lamhay is leaving Pakistan for a bright future, I wish her and her family all the best of luck and pray to Almighty Allah to shower His kind and choicest blessing on Lamhay and her family. Where all of your loved ones will missed you a lot, Lamhay, I’ll be the last one to miss you and it will be really hard to forgot you, till my last breath ! May you live a long and happy life [Aameen]

**
I would like to dedicate this thread to Lamhay, while doing this, Im getting your words that once you asked me for this :teary2:**

**
Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat aao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
mujhe dil se pukaro ge
Lamhay us wakt mujhe tum saath paoge**…

Wah… :k:

We’ll all gonna miss u Lamhay..do join us as soon as possible :slight_smile:
Thanks for sharing Bhooli Bisri

well lamhey do join us again ASAP...yahii to faaida hai aisee mehfiloun ka..dunya mein kahiin bhi baith ker in koo aabad rakh sakte hain...
:)
kher and bholi ..what a nice dedication u made here!
buhat khoob!

** Jane wale ke naam…**

**
Jaise sadeyoon se ajnabi thay
Us ki qurbat mein beetay sab lamhay
Meri yaadoon ka aik sarmaaya
Khushboo 'on se bhara badan us ka
Mujh se jab ham-kalaam hoti thee
Khwahishoon ke chamman mein har janib
Chaahaton ke gulaab khiltay thay
Husn ki bas woh ek devi thee
Us ki qurbat mein aisa lagta thaa
Ek pari aasmaan se uttri ho
Aur jab mein yeh poochta us se
Saath mere chalogi tum kab tak
Mujh se qasmain uthaa ke kehti thee
Ek pal bhi na ji sakongi mein
Aaj jab woh juda huwi mujh se
Us ne tu alvida bhi na kahaa :teary3:
Jaisay sadeyoon se ajnabi thay hum**

Thanks BB 4 ur prayers and dedication!!

nice ghazal suraj ! thanks once again !!

I would like to dedicate this thread to Lamhay, while doing this, Im getting your words that once you asked me for this
well Once haaa (bari deer ki meharban atay atay)

Dil kay tuth janay per ab malaal kiya karna , patheroon ki basti main aaienay tu tuthiengey hii ..!!

Agar kabhi meri yaad aaye
Tu chaand ratoon ki dilgeer roshni main
Kissi sitarey ko deekh laina
Agar wo nakhal falak se ur ker tumharey
kudmoon main aa gerey tu ye ja laina
Wo istiara tha merey dil ka
Agar na aaye ?
Magr ye mumkin hi kis tarah hai ke kissi per nigaah dalo
Tu us ke dewaar e jaan na tutey
Wo apni husti na bhool gaye !!
Agar kabhi meri yaad aaye
Gureez kerti hawa ki lehroon pay haath rakhna
Main khusbo’on mein tumhe miloon ga
Mujhe gulaab ki pate’oon main talaash kerna
Main udaas kutra ki aainey main tumhe miloon ga
Agar sitaaroon main, oos khusbo’on main
Na pa’o mujh ko
Tu apney kudmoon main deekh laina
Main gird musafatoon main tumhe miloon ga
Kahin pay roshan charagh dekho tu jaan laina
Ke her patangey ke saath main bhi sulag chukka hoon
Tum apney haathoon se un patangoon ki khaak derya main d’aal dena
Main khaak ban ker samandar main safar karoon ga
Kissi na dekhay howay jazeeray pay ruk ke tumhe sadayein doon ga
Samanduroon ke safar pay niklo
To us jazeeray pay kabhi uterna !!!

Tarpain ge teri yaad main ghabraayenge tanha
Aey dost kisi tawr na jee paayenge tanha
Jeenay ka akelay tou tasawwur bhi nahi hai
Hum tujh se juda honge tou mar jaayenge tanha

:teary3: :teary3: :teary3:

wah kiya kehna aap ki adaatien nahin badali

woh kehtay hain na tu lakh badaly chehray hum tujhay pehchaan leingey bas yahi aik hunar hai hum main tujhay teri khusboo say pehchaan leingey !!

(araay wah ye tu shair bangaya )

kuch to sun kay haiN hastay
to kuchh haiN rotay
teray meray qissay ab bhi
haiN galiyoN meiN hotay
kuchh tujhay mujhay ilzaam detay haiN
kuchh tujhay mujhay nakaam kehtay haiN
teray meray qissay logoN kay
zubaan per aam rehtay haiN
kuchh tujhay bewafaa kehtay haiN
kuchh mujhay bewafaa kehtay haiN
ishq kya balaa hai, log tera mera
naam lekay kehtay haiN
kuchh log tujhay badnaam kartay haiN
kuchh log mujhay badnaam kartay haiN
lekin ishq kay naam per
dono ko salaam detay haiN
kuchh log teray qabar per aatay haiN
kuchh log meri qabar per aatay haiN
hum phir jee uTheN-gay ek doojay kay
liye yeh dava kar kay jaa-tay haiN

[thumb=A]Ghazal1.JPG[/thumb]

[thumb=A]fizaa.JPG[/thumb]

[thumb=A]tumhainbhool.JPG[/thumb]

Ik Izteraab saa PehroN mujhe jagaataa rahaa
MaiN apni KarwaTeiN ik Hijr meiN sulaataa rahaa

Hamaare Pyaar pe gHalbaa thaa Badgumaani kaa
Parakhtaa maiN bhi rahaa, wo bhi Aazmaataa rahaa

MaiN DostoN meiN cHuppi Dushmani se Waaqif thaa
kHuloos-e-dil se magar dosti nibaahtaa rahaa

UdaasioN ki wo Boo-Baas bhi Rahi ham-raah
MaiN Shehr-e-dil meiN naye Phool bhi khilaataa rahaa

Mujhe bhi Naaz thaa kucH apne Zabt-e-giryaa per
Sitam-shuaar bhi har daao Aazmaataa rahaa

Jo Bandagi ka sahih Haque tha wo adaa na huwaa
ager'cheh Shauq se "Shakir" Sar jhukaataa rahaa

**
karaY haiN hijaR k lamhaat us se kah daiNa
bikhaR rahi hai meri zaat us se kah daiNa

hawa'iey mosam-e-gham us ke shahaR jaieY tou
meraY dukhOoN ki koi baat us se kah daiNa

ye wahshteiN se udasi ye rutjagOoN ke azab
us ke hai ye inaayaat us se kah daiNa

bohat taveel bohat karb'naak hoti hai
judaiOoN ki haR ek raat us se kah daiNa

wo dil ki baaZi jahaN muj se jeetNa chahaY
maiN maan lOoN gi wahin maat us se kah daiNa

wafa ki raha maiN maiN aj be akeli hOoN
koi nahi ha meraY sath us se kah daiNa**

hum ke Thaharay ajanbi itni madaaraatoN kay baad
phir banain ge Aashnaa kitani mulaqatoN kay baad

kab nazar me aaye gi bedaaG sabze ki bahaar
Khuun ke dhabbe dhulain ge kitani barsatoN kay baad

dil to chaahaa par shikast-e-dil nay mohalat hi na di
kuchh gile-shikave bhi kar letay munaajaatoN ke baad

thay bahut bedard lamhay Khatm-e-dard-e-ishq kay
thiiN bahut be-mahar subahain meharbaN raatoN kay baad

un say jo kahanay gaye they "Faiz" jaaN sadaqa kiye
an-kahi hi rah gai wo baat sab baatoN kay baad

Re: Dedicated to Lamhay !!!

Oh ! Surely miss your presence and your selection

Aik duaa aap kay leeyay

"Kabyabeyaan aap kay qadmoun ki dhoul banain" Aameen

wafa ki raha maiN maiN aj be akeli hOoN
koi nahi ha meraY sath us se kah daiNa

wah …:k:

kilo karaylay kitnay main atay hain aaj kal?

I have nothing to say all i can say is that it is really painful when someone leaves.... but at that time as you have mentioned she is leaving for bright future so we shoule be positive and think about that bright future... this will help you also to survive that she is away for bright furutre... once a friend will always a friend no matter where he/she goes...

Faislay mohabatoon ko kam nahi kartay... aur chahnay waloon kay darmian to koyee fasla behi nahi hoota baas itna hoota hai ka ankh band kee aur dekh liya... baas ya he faraq hai... ka khuli ankh say nahi dekha ja sakay ga...

Jahan behi rahoo Lamhay jee khush rahoo....

Buhat Khoob:k:..
:flower1: