Lamhay
January 21, 2002, 6:46pm
1
Pee jaoon tere ranj-o-ghum, rahe na koi pyaas baqi
dum tootay agosh mein teri,aarzoo hai yahi khaas baqi
yaadoon ka kafan odh ke, ho jaoon jehaan sey rukhsat
dharkanay tere naam ki hoon,dil bhi rahe na paas baqi
chupa lena meri maut ka ghum,hothoon ke tabbassum mein
varna kya doge, is zamaane ko, wafaa mein hisaab baqi
jhuk ke sajda bhi na kar paaye, agar, janazay ko meray
dekh lena nazar bhar ke,toote na dil ki aas baaqi
qasid ne sunayee jab, mere mar jaane ki khabar
rang hua zard , rahe na hosho-hawas baqi!
apni hasti ko mita kar log aksar
dosroon ko sanwaar jate hain
baaz auqaat maslehat ke tehat
jeetne wale bhi haar jate hain!
Thank you Lamhay G for remembering me !
Jo likha hai, aam huwa hai
Shehar mein tera naam huwa hai
Hum donoo aaghaaz pe pohanchay
Yeh kaisa anjaam huwa hai
Mein hoon, tum hoo phool aur tittlee
Baaqi sab gumnaam huwa hai
Tanhaee mein tera tasavvur
Zehar bhara ik jaam huwa hai
Darta hoon anhooni se
Hote hote kaam huwa hai
Dekh lay mere naam hi aakhir
Tera har ilzaam huwa hai
Takta hai har shaks hasad se
Arif aisa badnaam huwa hai... !
Qismat ki lakeeroon se tujhe shayad na paa sakein hum...
Isliye hathoon pe likh likh ke tera naam mita detay hain... !
Lamhay
January 23, 2002, 9:16pm
3
Arif sahab aap ko yaad nahin rakhiengey tu phir kisay yada rakheingey !
apni hasti ko mita kar log aksar
dosroon ko sanwaar jate hain
baaz auqaat maslehat ke tehat
jeetne wale bhi haar jate hain!
Amal
January 23, 2002, 9:27pm
4
**...and they lived happily ever after
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
**
MeiN pal do pal ka shaaer hooN…
Lamhay
January 26, 2002, 1:42pm
6
Amal sahab aur akif sahab kia matlab hai aap dono ka if u dont mind can u pls explain it!
Kaun si khichari bani hai ap dono kay dimagh main?
apni hasti ko mita kar log aksar
dosroon ko sanwaar jate hain
baaz auqaat maslehat ke tehat
jeetne wale bhi haar jate hain!
[quote]
Originally posted by Lamhay:
**Amal sahab aur akif sahab kia matlab hai aap dono ka if u dont mind can u pls explain it!
Kaun si khichari bani hai ap dono kay dimagh main?
**
[/quote]
Kisi ne kya khoob kaha ke...
Ishq aur Mushk chupaye nahee chuptay
Phir bhi yeh raaz jaan jati hai duniya
Hontoo pe laga lay chahay
Taalay koi chup ke...!
Lamhay, hamesha khush raho... aameen summa aameen !!!
Qismat ki lakeeroon se tujhe shayad na paa sakein hum...
Isliye hathoon pe likh likh ke tera naam mita detay hain... !
awwwwwwwwww…
:aankhon main khushi kay ansoo wala icon:
Re: Dedicated to Arifnawaz!
:'(
reet
January 27, 2005, 10:23am
12
Re: Dedicated to Arifnawaz!
yaadoon ka kafan odh ke, ho jaoon jehaan sey rukhsat
dharkanay tere naam ki hoon,dil bhi rahe na paas baqi
nice *Lamhay * g.........