ab kay ham bicharay to shaayad kabhi Khwaaboon maen milien
jis tarah sookhay hu’ay phool kitaaboon main milaen
dhoond ujray huay logoon main wafaa kay moti
yeh Khazaanay tujhay mumkin hai Kharaaboon main milen
GHum-e-dunyaa bhi GHum-e yaar main shaamil kar lo
nasha barhtaa hai sharaabien jo sharaaboon main milien
too Khudaa hai na meraa ishQ farishtoo jaisaa
donoo insaan hain to kiyoon itnay Hijaaboon main milien
Aaj ham daar peh khenchay ga'ae jin baatoon par
kal woh mumkin hai zamaanay ko nisaaboon main milien
ab nah woh haiN, nah woh too hai, nah woh maazi hai ~FARAAZ~
jaisay do shaKhs tamanaa kay saraaboon main milien!
< | >
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Thanks for the dedication Lamhay but acha hota agar aap dedication ke liye kisi aur ka intekhaab karti... coz I really dont' deserve such things !
Taqaza yeh hey kay jo kuch ho such kaha jaey
Kahon jo such tou mera such nahi saha jaey
Her aik lufz kay mani badal rahey hain yehan
So bewafa ko bhi abb baa wafa kaha jaey
Sazaey khana badoshi ki hudd mutaiyan ho
Azab-e-durr ba durri kub talak saha jaey
Bichhur kay tujh say guzari hay zindagi aisey
Keh suth-e aab pay puttah saa ikk baha jaey
Buzm main bethon tou dil mera dhurrakna bhooley
Uthoon jo buzm sey dil khoon main naha jaey
[/QUOTE]
Acha arif sahab dedication k liye kisi aur ko ap kehna kia chahtay hain?
aik dafa zara soch samjh kar kahien
agar kardi dedication ap k naam tu ye ap jantay hain kyo ki hai per ap anjaan ban jaien ander kuch bahar kuch kia zamana hai !

Lamhay, I think its the time to end this on-going battle ! I wanna thank you for this dedication !
:)
Ishq woh muqaam hay jahan "kuch paaney" kay bajaye sab kuch "lutaney" ka jazba paida hojata hay

End battle which battle Arif sahab?
ishq ka mahaaz over karnay ka ;)
Ishq woh muqaam hay jahan "kuch paaney" kay bajaye sab kuch "lutaney" ka jazba paida hojata hay >>>>>>>i know that per r u sure kay ap issey waqif hain ;)

I was wrong Lamhay... There wasn't any battle in b/w u and me... Infact kuch bhi nahee thaa and its true !
Nahee mein tu nahee wakif, aap dhoond lain mil jaega koi wakif aap ko !
I was wrong Lamhay... There wasn't any battle in b/w u and me... Infact kuch bhi nahee thaa and its true !
Nahee mein tu nahee wakif, aap dhoond lain mil jaega koi wakif aap ko !
[/QUOTE]
waisay arif ji battle ka bhi zikar ap nay kia tha jab k main nay tu aisi koi baat nahin ki aik dedication ki thee ap k liye so shayad ap ko woh mahaaz (battle ) laga
Nahee mein tu nahee wakif, aap dhoond lain mil jaega koi wakif aap ko..........
aur hum khuda na karay sarak per paray huay logh nahin jo dhoondhtay phirtay rahay ap ka ishara kis baat ka hai apni baat per ghour karain!