Dedicated 2 KhanSajid

meri auqaat kya
mere din raat kya

reza reza badan
qatra qatra lahu
tukray tukray ziddein
raaegaa’n justaju
lamha lamha safar
bay-samar aarzu
aik awaargi
sar-basar ku-baku

mere zer-e-nagee’n
kab koi aasmaa’n
kab koi sar-zamee’n
mera malboos-e-jaa’n
khaak ki aastee’n

is liyey jaan-e-man
bhool kar ehd-e-jaa’n
chor kar shehr-e-tan

tor kar bay-khalal
dard ki har rasan

mujh say bay-saakhta
bay-niyaaz-e-wafa
cheen kar bay-sabab
saya-e-zulf-o-lab
mujh say kar k juda
apna band-e-qaba
tu nay acha kia

meri auqaat kya
mere din raat kya…

→ Khaan Saab, Hope u like it.

Re: Dedicated 2 KhanSajid

woow nicee

Re: Dedicated 2 KhanSajid

Thanks a million for dedicating such a nice poem.