========================================
***Tumhain Yaad Hay Jaanaa’n
Guzishta Saal December Main
Es Tarah Ka Mausam Tha
Jab Tum Nay Kaha Tha Mujh Say
Chalo Hum Naam Badaltay Hain
Koi Achchay Say Farzi Naam
Rakho Tum Apnay Aur Mayray
Haan Uss Waqt Tumhari Baat
Main Nay Un-Sunee Kar Dee
Magar Jab Say Lagi Thokar
Tou ab Kuch Naam Zehen Main Aa’ey
Aaj Esi December Main
Woh Farzi Naam Rakhay Hain
Mayra Naam Aaj Say ‘TANHA’
Aur
Tumhara Naam ‘MAUSAM’ Hay
Keh
Tanha Anaa Parasat Tehra
Aur
MAUSAM bewafaa Jaanaa’n
=======================