December jaa raha hai

December jaa raha hai
Sabz shaakhon sey
Shagufay cheen kar
Sochon par chai kuhar see hai
Bay sabati ka yeh aalam hai
Har ek sahma hua hai
Har koi darta hai
Jaanay kis ghari ka kya haadsa hojai
Sab par khauf taari hai
Guzartay is baras nay
Dukh diyah hain
Chain cheena hai
Humain lekin
Jeena hai
Iss umeed par
Badlain gay yeh haalat aglay saal
Hogi zindagi ki baat

Wonderful :k::k::k:

Re: December jaa raha hai

[QUOTE]
Originally posted by Dania_2000: *
December jaa raha hai
Sabz shaakhon sey
Shagufay cheen kar
Sochon par chai kuhar see hai
Bay sabati ka yeh aalam hai
Har ek sahma hua hai
Har koi darta hai
Jaanay kis ghari ka kya haadsa hojai
Sab par khauf taari hai
Guzartay is baras nay
Dukh diyah hain
Chain cheena hai
Humain lekin
Jeena hai
Iss **umeed par
*
Badlain gay yeh haalat aglay saal
Hogi zindagi ki baat
[/QUOTE]

Umeed to kafi yaqeen kuch kam hai...
Har ghari hota hai ahsas kaheen kuch kam hai..