Kharay sauday ka qayal hoon, so behtar baych dayta hoon
May darya paas rakhta hoon, samandar baych dayta hoon
Suhanay khuaab to kanton kay bistar par bhi mumkin hain
Muyyassar ho agar phoolon ka bistar, baych dayta hoon
Chalo youNhi an’a 'gar apki taskeen pati hai
To may Haq-goee ka anmol gohar baych dayta hoon
Hayat chund roza kay sukoon-e-khaam ki khatir
May apnay daimee qadroN ka peekar baych dayta hoon
Kisi ka June acha kat sakay ga is liyay Nasir
Bohat pehlay say may apna December baych dayta hoon
Nasir Zaidi.
Azad
2
lain jee 10 rupay rakh lain ... aaj nahi
Re: December Baych dayta hoon…
Meri Samajhdani MaiN naheeN aya 
Azad
4
Re: Re: December Baych dayta hoon…
aghar sub ki samjh main aa jata to Communist becharay bikhtay kiyon 
Re: December Baych dayta hoon…
beautiful :k: