Re: Dear AQ
AQ aur meri Urdu mein chandan faraq naheen hai. Ham dono ka Urdu mazzaq aik sa hai.
Re: Dear AQ
AQ aur meri Urdu mein chandan faraq naheen hai. Ham dono ka Urdu mazzaq aik sa hai.
Re: Dear AQ
Chalo phir aap meri Urdu ki teacher bansakti haiN ![]()
AQ is hogging all the Urdu for himself ![]()
Re: Dear AQ
Aap agar mujhay Ustani ya Ustaad kahain tou yeh Urdu say zeyada nazdeeq hai. Pehla sabaq.![]()
Naheen. Aisa naheen hai. AQ jab Urdu par tassaruf kartay hain to phir bohat say logon ko samajh hi naheen aati.
Aap ko aik gur sikhaon zeyada say zeyada ilm hasil karnay ka?
Sawal poochnay say matt sharmana. Jou sharmaya, usnay hasil na kiya.
Re: Dear AQ
ustani ya ustaad ka kya mutlab hota hai?
Re: Dear AQ
Ustani ya Ustaad ka matlab Teacher hota hai.
Re: Dear AQ
aur tusarraf?
Re: Dear AQ
:aq:I’m very much disappointed in you to say the least, after seeing such a comment coming from you.
You of all people, being a mod of course:D, should expect such clean targeted humour from common peoples of Cafe` like us:naraz:
Agar Mod ko Mod naheeN bolaiN geY tau kiss ko bolaiN geY aakhir ![]()
Re: Dear AQ
dulhan isee ley rukhsatee main zyada zyada ro laytee hay takay baqe zindge hanstay hansaatay guzray
or dulha shadi kay bad is ley rota rehta hay kay shadi walay din us kay daant sub say zyada bahir hotay hain
Is it a personal experience talking or personal observation?
Re: Dear AQ
[QUOTE]
Is it a personal experience talking or personal observation
[/QUOTE]
na experience na observation yeh lateefa tha jo maini perha tha..
Re: Dear AQ
achaa ziadaah apnaY paRhaY likhaY honaY kaa saboot denaY kee zaroorat naheeN hai:snooty:
Re: Dear AQ
[QUOTE]
achaa ziadaah apnaY paRhaY likhaY honaY kaa saboot denaY kee zaroorat naheeN hai
[/QUOTE]
ha ha ha ha .. nahi main kahan parhe likhee main to Phd main bhi fail ho gaye thee..is ley ajj mujhay james bhaand nay constable bana diya
Re: Dear AQ
metric pass kar laiTeeN tau yeh din dekhnaa naseeb naa hotaa ![]()
Re: Dear AQ
^ apnay apnay naseeb ki bat hay
shaid mujhay kissi nay dua dee ho teray isharay per log chalin
or ajj main constable ban gayee
(yeh bhi latifa tha )
Re: Dear AQ
shukar hai aap naY bataa diyaa warnaa mujh jaisaa bholaa bhaalaa aur shareef insaan iss ko bhee such samajh gayaa hotaa ![]()
Re: Dear AQ
Aawww..![]()
Phati ji, aap Anwaar bhai kay baray mein esay ilfaz matt kaha kijiye.![]()
Re: Dear AQ
[QUOTE]
shukar hai aap naY bataa diyaa warnaa mujh jaisaa bholaa bhaalaa aur shareef insaan iss ko bhee such samajh gayaa hotaa
[/QUOTE]
Anwar qureshi
is ko urfe aam main kehtay hain
Jalybee ki terah seedha
Re: Dear AQ
agar jalebee ko pakaR kar seedhaa karo aur chaandi kay warQ par rakho tau woh bhee Khat-e-Mustaqeem kee soorat maiN aa jaaye… Ehl-e-Nazar chaahiye buss koi dekhnaY waalaa ![]()
Re: Dear AQ
^ Mashallah MashAllah
app nay jalybi per to kafee tajerbay keye hoyee hain
masla-e-fesa ghoras ki jagha app ik or masla-e-jalybi nikal ker bhi
khate mustqeem ko sabit ker saktay hain
jalybi kay ley ahl-enazar nahi ..ahl-e-lisaan chaeye
Re: Dear AQ
ehl-e-zubaan kahiye yaa ehl-e-nazar..
ehl-e-nazar tau waisaY bhee nazroN hee nazroN maiN khaa jaataY haiN :aq:
Re: Dear AQ
[QUOTE]
^ ehl-e-nazar tau waisaY bhee nazroN hee nazroN maiN khaa jaataY haiN
[/QUOTE]
is kam main app ka kitna sala tajerba hay ?