Here is deadsoul’s beautiful selection :~)
I am not doing justice with my collection to select only 3 but I have no other choice so I ll try
Lets start
jiss tarah khwaab meray hogayay raiza raiza
iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi
koi ahat koi awaaz koi chaap nahi
dil ki galyan bari sunsaan hain ayay koi
PARVEEN SHAKIR
No Ghazal collection would be complete without including Parveen Shakir’s thematic variety. . Parveen Shakir is a genius and this is a very small example showing how different words can be used to convey different thoughts with varying intensities. “She has given the most beautiful female touch to Urdu poetry”
Parveen Shakir left us in a tragic car accident in teh 90s which was a major loss for the Urdu poets’ community and fans
apnay bistar pay buhat dair say
main neem daraaz
sochti hon wo iss waqt kaha par hoga
main yaha hon magar uss kocha-e-rang-o-bo main
woh rozz ki tarah aj bhi aya hoga
aur jab ussnay mujah ko waha na paya hoga
app ko ilm hai, woh aj nahi ayi hai
meri har dost say uss nay yeh pocha hoga
kio nahi ayi woh kia baat hui hai akhir
khud say iss baat pay sou baar woh uljha hoga
kal wo ayegi to main uss say nahi bolonga
app he app kayi baar woh rotha hoga
woh nahi hai to bulandi ka safar kitna kathin hai
seerhiyaan charhtay huay uss nay yeh socha hoga
rahdaari main har lawn main pholoon k qareeb
uss nay har simt mujahy aan k dhoondha hoga
naam bhoolay say jo mera kahin aya hoga
ghair mehsoos tareeqay say woh choonka hoga
aik jumlay ko kayi baar sunaya hoga
baat kartay huay so baar woh bhoola hoga
yeh jo larki nayi hai kahin woh to nahi
uss nay har chehra yehe soch k dekha hoga
jan-e-mefil hai magar aj faqt meray baghair
han yeh kiss darja wohi bazm main tanha hoga
kabhi sannatay say vehshat jo hui hogi ussay
uss nay bey sakhta phir mujh ko pukara hoga
chaltay chaltay koi manoos si ahat paa kar
doston ko bhi kisi uzar say roka hoga
yaad kar k mujahy nam hogyi hongi palkain
ankh main par gaya kuch, keh k yeh taalaa hoga
aur ghabra k kitaaboon main li hogi panah
har satar main mera chehra ubhar aya hoga
jab mili hogi uss ko meri alaalat ki khabar
uss nay ahista say deewar ko thaama hoga
soch kar yeh k behel jaye pareshani-e-dil
uss nay be wajah kisi shakhs ko roka hoga
ittafaqan mujhay uss sham meri dost mili
main nay pocha k suno, “ayay thay woh?”
mujh ko pocha tha mujhay dhoondha tha charon janib
uss nay aik lamhay ko dekha mujhay aur hans di
iss hansi main to woh talkhi thi k iss k agay
kia kaha ussnay mujhay yaad nahi hai
lekin
itna maloom hai
KHWABON KA BHARAM TOOT GAYA
2: ------------------------------------
**mohabbat aisa darya hai
k barish rooth bhi jaye
to pani kum nahi hota
**==================
AMJAD ISLAM AMJAD
A writer, poet and playwright, Amjad Islam Amjad is a man of versatile talents. Amjad Islam Amjad has written many a drama series for PTV with “Waaris” being the jewel in the crown. He may or may not write another serial so popular but his poetic talents have been abounding by day and night.
sapnay kaisay baat karain
khadshon ki zanjeer pari hai
neend bhari sub ankhon main
sapnay kaisay baat karain
sapnay kiss say baat karain
jin logon ka rasta taktay
umrain rizq-e-khaak huin
ab wo log aur un k sapnay dekhnay wali
ankhain bujh kar rakh huin
raakh k iss anbaar main hongi
kaisay kaisay zinda khwaab
khwabooon ki iss rakh ko lekin
chairay kaun?
jiss rastay pay chaoon na pani
uss pay dairay dalay kaun
jiss mitti main rait lagi ho
uss main kaisay baagh lagayen
darya he paayaab hon jab to
uss main kashti kia lejayen
khushboo aik awaara jhoonka
uss jhonkay ko ghairay kaun
kaisay dunya ko batlaonn
TUM HOTAY HO MERAY KAUN
**3: **------------------------------------------
And the last but not least my all time fav i don know the name of poet and it does not matter by whom the poetry is written
May be u already familiar with this one but read it one more time but this time not only to read. Visualize each line and situation give attention to each word and than let me know your feelings.
TO KIA TUMHAIN MAIN KABHEEE YAAD HE NAHI AYAA
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulaab ko tehne say torr kar bhe nahi
subuk kalayi main gajray kabhi pehentay huay
gulaab hathon pe mehndi kabhi lagatay huay
safaid dodhya anchal ko zard rangtay huay
gulaal maltay huay, choryan pehentay huay
chamaktay mathay pe bindya kabhe sajatay huay
sanwar k dair talak ayenay ko taktay huay
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kabhe diyaa kisi dargah main jalatay huay
kisi dukaan pe sarhee pasand kartay huay
lachakte shakh pe pehla gulab lagtay huay
kabhi yonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
kabhi kabhi yonhi koi kitaab parhtay huay
barastay abar me chat pe kabhi nahatay huay
khud apnay jism say yonhi kabhe lajatay huay
kisi sahaile say hanstay samay lipt’tay huay
kisi khayal main baithay say uth k chaltay huay
kisi bhi raat ko uth kar yonhi tehaltay huay
akailay dour talak khamoshi me chaltay huay
khala main zaat ke be asra bhataktay huay
kisi pahar pe tanha sanbhal k charhtay huay
utartay chand ka mojon main aks partay huay
libaaas pe khushboo koi lagatay huay
khizaaan main sokhtay patton ka shor suntay huay
mitay huay say darakhton pe naam parhtay huay
kisi bhi roz yonhi ghar k kaam kartay huay
azaan hotay he anchal say sir ko dhaktay huay
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulab ko tehni say torr kar bhi nahi
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kisi darakht k sayay main beth kar bhi nahi
TO KIA TUMHAIN MAIN KABHEEE YAAD HE NAHI AYAA