Dayaar-e-Ghair maiN kaise tujhe sadaa detay

Dayaar-e-Ghair maiN kaise tujhe sadaa detay Tu mil bhi jaata to tujhe ganwaa detay

TumheeN nay ham ko sunaya na apanaa dukh verna
Duaa woh kertay keh ham aasamaaN hila detay

HamaiN yeh zoam rahaa ab ke woh pukaaraiN gay
UnhaiN yeh zid thi ke har baar ham sadaa detay

Woh tera Gham tha keh taseer meray lehjay ki
Keh jis ko haal sunaate usay rula detay

Sama’atoN ko maiN taa umr kosata Syed
Woh kuch na kehtay magar honTh to hila detay

MSN pe :p

mazak a part one of ma fav..:) thanks 4 sharing

hum waha aapko sada kaisay detay
hasb e saabiq status aap ka tha away :hehe:

buhat khoob :k:

Re: Dayaar-e-Ghair maiN kaise tujhe sadaa detay

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Tu mil bhi jaata to tujhe ganwaa detay

[/QUOTE]

.... uss kay taswar kay baghir humain zindgi gawara nahi Yeh bhala kaisay momkin hay ....ussay paa ke ganwaa dayte ..

:k:

*HamaiN yeh zoam rahaa ab ke woh pukaaraiN gay
UnhaiN yeh zid thi ke har baar ham sadaa detay *

aae hae! wo kyaa hai naa k
wo jaanta hai k hum uss pe jaan daite hain
anaa parast hai, izhaar robaro chahe
and kya kehte hain k
harne mein ikk anaa kii baat thi
jiitne mein ik khasara aur hai(i hope k mein kuch ulta nahin ker gyaa

-o

well koi baat nahin..matlab to samjh aa gyaa naa;)
bas kaafi hai..he..he..hee;)

kher! thnx 4 sharing.

bohat khoob :k: